Posted by Editor on December 20th, 2009
This entry was posted on Sunday, December 20th, 2009 at 4:54 am and is filed under Japan, Mrs Asghar Bara.
You can follow any responses to this entry through the RSS 2.0 feed.
You can leave a response, or trackback from your own site.
December 22nd, 2009 at 8:00 pm
Main to sirf dukh ka izhaar hi kar sakta hoon. Haan, yeh hi jawab ho ga hum sab Pakistaniyoon ka ipni is Pakistani behan ko. Kiyoon aisa hi hai na bhaiyo?
Hum Pakistani bayhis ho chukay hain. Yeh qaum ab zawal ka shikar hai. Jahan hamaray dada/daddi peda huway the to wo darti Pakistan na the, balka us dais ka naam hindustan tha. Aur mujhe to khauf is baat ka hai kaheen hamrau potay-pootiyaan jab issi zameen par peda hoonge to dar hai ka naam Pakistan ho ga ya kuch aur ho ga? Allah hi janta hai. Kam iz kam, haalat to yeh hi batate hain ke jab hum 10,000 Japan me rehnay walay Pakistani sirf aik majboor maan ka masla hal naheen karwa saktay to hum itni siyasi partiyaan bana kar koonsa mulki masla hal karwa sakte hain.
Aaj me Japan me majood tamam siyasi leadroon (PPP, PML-N, PML-Q, PTI), Deedi jamatoon (Islamic Circle, Minhajul Quran, etc.), Social/Cultural Groups (Pak-Japan Foundation, Gareen foundation.etc.) ke karta dahtoon ko “be-ghairat” ka khitab deta hoon. Aur agar wo is khitab ko jhoota kar saktay hain to within one month Al-Karam Restaurant Mrs. Asghar Bara ko dila kar dekha dain. Main ye khitab wapas le kar unko “Ghairatmand” ka khitab de doon ga and un se net par muafi bhii mangoon ga. Aazmaish shart hai.